Jobs (Skills)

     Jobs Skills ( Jobs k liye kya kya Skills ki required hoti hai) :


Doston mera Naam hai Piyush aur Aaj ka humara topic hai jobs k liye kya kya skills ki required hai , toh aaiye start kre topic.

Aiye jante hain job k liye kaun kaun si skills ki required hoti hai: 




1:Educational Qualification :
sbse pehle agar aapko apna graduation complete kr lena chiye then apko job search krna chiye  but aisa nhi h ki aap undergraduate hai toh apko job nhi milegi  lekin apko  agar  achhi job  chiye toh apko graduation complete kr lena chiye  .


kyun ki company mostly after graduation hi jobs acchi provide krti hai 

2: Personality Development:
Apko pata hona chiye ki personality development ka ek bhut acch role hota hai jobs mein lekin  bhut se log isko apne body personality se jodkr dekhte hain  jo ki bilkul glt hai  Aap acchi trh se jaan le Personality Development ka asli mtlb kya hota hai.
personality Development ka asli mtlb hota hai Aap formal dress mein ho means apke kapde agar aap shirt pehte hai toh usmein ek se do color wale shirt hi pehne  ya ek se do color wale Pant pehne  aur kbhi kbhi bhi kapde  apke gande nhi honi chiye  saath hi saath in baton ka bhi dhyn rkhe ki aap kbhi bhi T-sert aur Jeans mein  Interview k liye kbhi na jaye , apke joote bhi formal honi chiye   Kyun ki Apka Interview 40% apke  Dress up pr hi clear ho jata hai  aur aap hair bhi chote chote ktwa le aur saath hi daadi muchh bhi katwa le ,agar aap in baton pr dhyn dete hain toh apka Interview mein ek alag hi Impression Jamega.

3: Resume:
Resume Ka bhi Interview mein bhut important role hota hai bhut se log resume ko fold krke ,kuch log pocket mein rkkr chle jate hain  jinke karan Interview mein HR k samne bhut hi bekar impression pad jata hai ,sbse pehle ye jaan lete hai ki Resume hota kya hai : Resume mein apki biodata hoti hai jismein apki details hoti hai  apka name ,addreess ,email id ,phone no, father's name , hobby ,educational qualification, career objectives, ye sari details hoti hai  Resume mein  kabhi kabhi bhi badachadkr koi information nhi liknhi chiye
kyun ki Interviewer  aksar apke resume mein  se hi question puchh leta hai Jaise ki hobby mein apne watching movie  likte hain  aur aap suppose apko ydd nhi apne kaun si movie last time dekhi thi ya uski story bhul gye hain kyun ki aksar Interviewer pucch leta hai last movie kun si apne dekhti thi uski story btao  toh apko yahan Resume mein whi batein likhni chiye jo apko pata hai  taki aap Interviewer k samne turnt jawab de paayein.

4.Computer Education:
computer education ki knowledge bhi honi chiye agar aap fresher hain apne khi bhi job nhi kri hai tb bhi :computer knowledge jaisi ki typing speed ,Excel ,MS word, aani chiye 

Interview mein hr se eye contact krke baat krni chiye bina dare hi kuch bhi glt jawab na de agar hr kuch aisa pucchta hai jo aap nhi jante hai toh wahan chup ho jaye  ,ap koshish kre ki Interviewer k sawalo ka jawab km se km word mein dein , Aap jis company k bare mein jaa rhe hai Interview k liye google se search kr le pehle woh company ka kya kaam hota hai kyun ki aksar company puchh leti hai ki aap humari company k bare mein'kya  jante hain  

Aiye jante hain fraud company se kaise aap bach sakte hain:

aksar jo log fresher hote hain unhe job k saath company k bare mein bhut hi km knowledge hoti hai jiske karan pehli baar mein Delhi,Noida jaise bade city mein job k naam pr unko fraud company loot leti hain : apko ye acchi trh jaan lena chiye ki koi bhi company Jo apko hire krni chahti hai woh apse kbhi paise ki demand nhi kregi job k badle , dusri baat aap jis company mein interview dene ja rhe hai uss company ki website pr jakr uske bare mein pehle pad le aur saath saath hi aap uss company ko google pr search kre pure address k saath agar woh company registered hai toh google pr uske naam k saath saath uski rating aur review bhi apko dikh jayegi 

kbhi kbhi Interview seedhe company mein hi de idhr udhr kisi consultancy ya kisi institute na jaye agar apko kisi company se Job k liye call atta hai toh uss company ki details google pr search kre agar woh registerd hai tbhi wahan jaye .  Kyun ki Aaajkl Naukri.com, Shine.com jaise bade platform bhi fraud call aata hai job k liye , haan ismein koi doubt nhi hai ki apko jarur apna cv in platform pr upload krna chiye acchi company k liye call ya email toh aata hai hai but bhut baar fraud company ki email ya call aa jata hai 

Agar apne Naukri.com ,ya Shine.com Jaise platform pr   Profile  nhi bnayi hai toh apko bana leni chiye kyun ki Apko job dundna mein asani hogi agar aap profile bana lete hain toh km se km isse 1 week mein ek baar jarur update bhi kre Jaise ki ,comma kbhi add kr de kbhi thoda space kr de kbhi fullstop hatkr phirr se fullstop laga de ye update process mein aap chahe toh kuch delete ya add bhi kr sakte hain  ,profile update rehne se jyada chance ki apko job k liye call aaye 

Aaj ki post mein itna hi ,agar apko mera post accha laga ho toh like aur comment krke batayein ,ya apko kuch pucchna hai toh comment box mein comment kre 








POST A COM

Comments

Popular posts from this blog

Jobs oppurtunities for Commerce Students